6G Technology 5G Se Raftaar Mein Kitni Zyada Tez Hogi? Maahirin Ne Bata Diya

5G technology abhi bohot se mumalik mein aayi bhi nahi keh maahirin ne 6G technology par kaam shuru kar diya. Maahirin ke mutabiq, 6G 5G se raftaar mein kahin zyada tez hogi.

Japan mein duniya ki pehli high-speed 6G wireless device tayyar ki gayi hai jo 100 gigabit per second (GBps) ki raftaar se data transmit karne ki salahiyat rakhti hai, jo 5G se 20 guna zyada tez hai.

Misal ke tor par is speed se har second mein 5 HD filmain download ki ja sakti hain.

Japani scientists ki janib se is hawale guzishta dinon ek bayan jari kiya gaya tha.

Unhon ne bataya ke tajurba ke doran ek hall ke andar 100 GBps data transfer kiya gaya.

Khayal rahe ke 5G technology ko 2019 mein mutaarif karaya gaya tha aur duniya ke bishtar mumalik mein smartphones ke liye is ki support dastyab hai.

America mein 5G mobile internet ki zyada se zyada speed 204.9 MB per second hai, magar nazriati tor par 5G ki zyada se zyada speed 10 GBps ho sakti hai.

GSMA Association ke mutabiq 6G technology par abhi kaam jari hai aur ise 2030 ki dehai ke shuru mein mutaarif karaya ja sakta hai.

5G aur 6G mein buniyadi farq electromagnetic spectrum ke frequency bands mein hoga.

Is waqt chonke 6G standard tay nahi hue to yeh wazeh nahi ke yeh technology kaisi hogi.

Magar maahirin ke mutabiq 6G technology se mobile network par cyber security mazboot hogi jabke is mein artificial intelligence par mabni zyada features mojood honge.

Related Content

Vgo Tel NEW 7 Price in Pakistan, Vgo Tel NEW 7 Mobile Prices and Specifications

Leave a Comment