Haal hi mein America ki kuch riyasaton mein gaye aur un ke doodh mein Bird Flu virus ki mojoodgi ka inkishaaf hua tha.
Ghair mulki media ke mutabiq aise cases samne aane ke baad sawalat uth rahe the ke yeh bimari insano mein phail sakti hai ya nahi.
Reports ke mutabiq maahirin ka kehna hai ke insano ko is se bohot kam khatra hai jabke American hukam ka kehna hai ke insano ki sehat ke liye koi khatra nahi hai.
Ghair mulki media ke mutabiq aaj tak ke mutala ki buniyad par zyadatar maahirin ka kehna hai ke agar Bird Flu ke virus se koi insaan mutasir ho jaye to is ke baray paimanay par logon mein phailne ka khatra bohot kam hai.
Ghair mulki media ke mutabiq America mein bimar gaye se ek shakhs Bird Flu se mutasir hua tha jabke Bird Flu ki mojooda lehar se lakhon murghiyon samet deegar parinde halak hue hain.
Reports ke mutabiq Bird Flu ki haali lehar se America mein gayein bhi mutasir hui hain lekin yeh shadeed bimar nahi hui hain.
Leave a Comment
You must be logged in to post a comment.