Wo Kalma Mubarak Jisay Parhnay Wala Duniya-O-Akhirat Ki Musibaton Se Bach Jata Hai

Duniya mein apni tag-o-dou se maqam peda karne walon ki rahen aksar mushkilat ki wajah se band aur tang hojati hain. Un ki umeedein toot jati hain, gumrah hokar woh gunahon aur shirk mein par jate hain. Jadu tona ke wehmon mein par jate aur depression mein mubtala hojate hain.

Aaj hum aap ko ek aise kalma pak ki khusoosiyat se mutaarif karate hain jise parhne wale par duniya hi kya aakhirat ki mushkilat bhi kam hojati hain.

Karobaar ho ya mulazmat mein adum sukoon, gharelu nachaqi ho, ya kale jadoo ka khauf. Algharz yeh kalma parhne walon par shaitani aamaal ka asar nahi hoga. Is kalma pak ke zaker par jannat wajib hojati hai. Ahadeeth mubarakah mein is kalma ko jannat ka khazana qarar diya gaya hai, zahir hai jo jannat ka khazana pata leta hai us ki rohani tor par quwwat barh jati hai aur us par shaitan ki peda kardi nahoosaten aur rukawatein door hojati hain aur us par asar nahi karti.

Jannat ke khazana ko talab karna har musalman ka haq aur farz hai. Is khazane ki dua kyun karni chahiye?

Is bare yeh hadeeth mubarakah hi hamare liye kaafi hai jis mein Rasool Allah ﷺ ne Hazrat Abu Moosa Ash’ari se farmaya tha ke mein tumhein woh kalma na bata doon jo jannat ka khazana hai.

Hazrat Abu Moosa Ash’ari ne arz ki, “Mere maa baap aap ﷺ par fida, farmayie.

Rasool Kareem ﷺ ne farmaya, “To phir yeh kalma parhte raha karo:

لاحول ولا قوة الا بالله

Hum musalmanon ke liye is kalma ki nemat kaafi hai, har kaam mein aasani aur jo kaam aap karna chahte hoon un mein Allah ki raza shamil karne ke liye yeh kalma har kisi ko apni zaban par jaari o saari rakhna chahiye.

Kisi bhi bure kaam se ruk jayenge aur jaiz kamon mein kher-o-barkat peda hogi. (Hadiya Tasbeeh Allama Peer Abunoman Saifi)

Leave a Comment