Blood Pressure Aur Is Ko Control Karne Ke Gharelo Nuskhay

Ahem Nukaat:

  • Khoon ko sharyanon mein dhakilne wala dil blood pressure paida karta hai.
  • Hyper tension barson tak baghair alamat ke bhi reh sakta hai.
  • Zehni wa jazbati dabao aur ghalat tarz zindagi hyper tension ke ahem asbab hain.
  • Lemon, tarbooz, aur lahsan jaise qudrati ajza hyper tension mein mufeed hain.
  • Munasib neend, warzish, aur yoga hyper tension ke control mein madadgar sabit hote hain.

Blood Pressure

Hamari sharyanon ke zariye jism mein gardish karne wala khoon, har khaliya ko ghizaiyat aur oxygen pohanchata hai. Khoon ko sharyanon mein dhakilne ke liye dil jo zor lagata hai, woh aik dabao paida karta hai, isi ko blood pressure kaha jata hai. Ragon mein gardish karne ke liye khoon ko aik khaas had tak dabao ki zarurat hoti hai. Jab yeh dabao aik khaas had se zyada barh jaye to ise high blood pressure ya hyper tension kaha jata hai.

Halkay aur darmiyanay darjay ki hyper tension baras ha baras tak alamat ke zariye zahir nahi hoti. Blood pressure ki ibtidaai alamat subha bedaar hone par sar ki pichli jaanib aur gardan mein dard hona hai jo jaldi ghaib bhi ho jata hai. Deegar alamat mein sar chakrana, bazoo, kandhay, taang aur kamar mein dard, dil ki dhadkan tez hona, seene mein dard, peshab zyada ana, aasabi dabao, thakawat, tabiyat sust hona, jazbati intishar aur be khwabi shamil hain.

Hyper tension ke ahem tareen asbab zehni wa jazbati dabao aur ghalat tarz zindagi hain. Zehni khinchao mein mubtala afrad ko aam tor par high blood pressure ho jata hai. Beqaidah tarz zindagi, cigarette noshi, zyada nasha awar ashiya ka istemal, chai, coffee, cola mashroobat, maiday ki bani hui ashya aur deegar masnoi ghizayen jism ke qudrati afaal ko nuqsan deti hain. Is wajah se high blood pressure ke imkanaat barh jate hain.

Blood Pressure Aur Is Ko Control Karne Ke Gharelo Nuskhay

Zail mein high blood pressure ko control mein rakhne ke chand mufeed nuskhe diye ja rahe hain:

  • Khana khane ke baad kacha lahsan istemal karne se high blood pressure mein faida hota hai.
  • Loki ka ras aadha cup le kar is mein thoda sa pani mila kar teen martaba rozana peene se faida hota hai.
  • Chhaon mein sukhaye gaye tarbooz ke beej do chamach pees kar aik cup garam pani mein aik ghanta bhigo den, is ke baad hila kar chhan kar pi liya jaye.
  • Tarbooz ka ras peene se bhi faida hota hai.
  • Ragon ki sakhti ke amraaz mein lemon mufeed hai. Dil ki kamzori door karne ke liye lemon mein khaas khoobi hai. Is ke baqaidah istemal se khoon ki naliyon mein lachakeela pan aur narmi aa jati hai aur in ki sakhti door ho jati hai. Lemon ke istemal se burhapay tak dil taqatwar rehta hai aur heart fail hone ka khatra bhi kam ho jata hai. Pani mein lemon nichod kar din mein kai martaba peene se faida hota hai.
  • Subha lemon ka ras garam pani mein mila kar peena bhi mufeed bataya jata hai.
  • High blood pressure mein saib khane se faida hota hai.
  • Tarbooz ke beej ke ras mein aik ansar “bosaitrin” hota hai, yeh khoon ki naliyon ko chowra karta hai. Is ka mufeed asar girdon par bhi parta hai, jis se high blood pressure kam hota hai.
  • High blood pressure walay mareezon ko paon ke talwon aur hathailiyon par mehndi ka leep lagate rehne se faida hota hai.
  • Shehed jism par maskan asar dal kar high blood pressure kam karne mein madadgar bataya jata hai. Warzish high blood pressure mein mufeed hai. Paidal chalna warzish ki bohot achi shakl hai. Is se tension door ho jati hai, azlaat mazboot hote hain aur gardish khoon behtar banane mein bhi madad milti hai. Jab paidal chalne se afaqa mehsoos hone lage to cycle chalana, teraki karna aur jogging karna bhi shuru karna chahiye. Yoga ke asan, Surya Namaskar, Makar Asan, Matsya Asan, Vajra Asan, Ardh Padma Asan aur Shiva Asan, blood pressure ke liye mufeed bataye jate hain. Agar blood pressure high ho to yoga ke liye maalij ke mashware par amal kijiye. Hyper tension ke mareezon ko is amr ka lazmi ehtemam karna chahiye ke woh kam az kam aath ghante neend lain.

Leave a Comment