Duniya ki chhoti tareen washing machine ek Tamagotchi (ande ke barabar barqi aala) se bhi chhoti hai.
Ek Bharti nagrik ne duniya ki sabse chhoti washing machine apni mukhtasir tareen cheezein banane par mabni engineering ki maharrat ko istemal karke tayar ki, jiski paimaish sirf 1.28 inch by 1.32 aur 1.52 inch hai.
Guinness World Records ne Sabin Saji ki is washing machine jo ke ek Tamagotchi digital pet se bhi chhoti hai, ki tasdeeq ki.
Wazeh rahe ke yeh duniya ki sabse chhoti machine hai aur iska wazan sirf 0.88 ounce hai.
Record ke liye qualify karne ke liye, Saji ko yeh zahir karna pada ke iski washing machine fa’aal hai aur yeh ek mukammal cycle chala sakti hai aur kapde dhone ke ilawa inhein ghuma sakti hai.
Leave a Comment
You must be logged in to post a comment.