Yehaan rahne mein mahfooz hai izzat,
Jo khaar-e-maghzalaan tha, woh gulfaam hua hai
Ab kaaseh darvesh yahaan jaam hua hai
Yehaan par mahfooz hai lab-basta,
Dushman taraazi ka chalan aam hua
Ek umr se aap sar-e-maida kuchh rand hain
Qismat mein magar dard-e-tah-e-jaam hua hai
Har shakhs pe ilzaam lagate hain dagha ka
Har shakhs yahaan mawardi ilzaam hua hai
Main to kya dil ko husn-o pe chhodh deta
Yeh dil to mera muft mein badnaam hua hai
Mazloomon ki cheekhon ka yeh kahraam shayad hai
Barpa mere seene mein jo kohraam hua hai
Jo Jafri dil mein usko sar-e-daar kaha tha
Yeh jurm-e-wafa mohabbat se aam hua hai
Kalaaam: Doctor Maqsood Jafri (Islamabad)
Leave a Comment
You must be logged in to post a comment.