Sardiyo Mein Balon Par Khaas Tawajuh Dijiye!

Jaaṛon ki aamad ke saath hi agar aap balon ko nazar andaz karti rahengi to apni dilkashi aur jazbiat kho baithengi.

Shadid sardi ke mausam mein aap kaafi pi rahi hon aur samne mez par khushk mevon ki plate bhi rakhi ho, television par aap ka pasandida program chal raha ho aur aap ne kambal orh rakha ho to bistar se nikalne ko dil nahi chahta.

Jaaṛon mein pareshani aur musibat us waqt uth khadi hoti hai, jab aap ki jild par kharab asraat parne lagte hain aur sar ke balon mein khushki nazar aane lagti hai.

Bal khardure, masam daar aur kamzor ho jate hain. Khawateen ke bal jab tak chamakdar, mazboot aur lambe na hon, un ki shakhsiyat jazib nazar nahi hoti.

Chunancha unhen saaf suthra, chamakdar aur sehat mand rakhne ke liye khaas tawajuh deni parti hai. Jaaṛon ki aamad ke saath hi agar aap balon ko nazar andaz karti rahengi to apni dilkashi aur jazbiat kho baithengi.

Sardi ke mausam mein chonkay paseena nahi aata, lihaza sar ke balon ko roz dhona zaroori nahi hai. Koi acha shampoo istemal karein aur neem garam paani se sar dhoien.

Tez garam paani se yeh nuksan pahunchta hai ke aap ke bal zyada khushk aur khardure ho jate hain. Hathon aur pairon par koi lotion zaroor lagaiye, warna jild bejaan hoti chali jaye gi.

Ghar mein conditioner bana lijie. Ek chamcha shehed, ek ande ki zardi aur aadha chamcha dahi ko mila kar ameza bana lein. Phir is ameze ko bees minute tak ke liye balon par laga lein.

Is ke baad neem garam paani se bal dho dalain. Aap ke liye yeh conditioner behtareen sabit ho ga aur bal chikne aur chamakdar ho jain ge. Jaaṛon mein balon ka massage karna zaroori hai.

Is se conditioner balon mein achi tarah se jazb ho jata hai. Khushk balon aur sard hawa se khopri mein chubhan hone lagti hai. Sar ke bal sakht, khardure aur kamzor ho jate hain.

Is ka natija yeh hota hai ke bal tootne lagte hain. Massage ke liye aap zaitoon ya nariel ka tel istemal kar sakti hain.

Sar ke charon taraf massage karein aur koi hissa na chhoriye, phir naram, magar garam toliya le kar ise sar par lapet lein. Toliya nusf ghante tak lipta rahne dein.

Halki garmi se tel balon mein jazb ho jata hai. Yeh amal haftay mein do bar karein, jis se bal mulaim aur lambe ho jain ge.

Khushk hone par balon ki nokain phat jati aur do hisson mein taqseem ho jati hain, lihaza balon ki nokon ko kaat dijiye. Balon ko mahine mein ek bar zaroor tarashiye.

Haftay mein ek bar un mein moisturizer bhi lagaiye. Moisturizer banane ka tareeqa yeh hai ke ek kela chheel kar us ke tukde kar lijie, chauthai piyali doodh ya dahi lijie aur teen chamche badam ka tel, phir unhen mila kar achi tarah phent lein. Is ameze ko balon par laga lein aur pandrah minute tak laga rehne dein.

Is ke baad shampoo laga kar dho dalain. Aap ke bal chamakdar aur khubsurat ho jain ge.

Jaaṛon mein khushki bhi balon ke liye musibat ban jati hai. Isay khatam karne ke liye gharelu nuskhe istemal kiye ja sakte hain.

Khushki door karne ke liye taqreeban paanch chai ke chamche gheekwar ka guda le kar khopri par lagaiye.

Nusf ghante tak ise khopri par laga rehne dein aur is ke baad shampoo laga kar dho dalie. Agar aap haftay mein ek bar bhi is nuskhe ko istemal kar lengi to balon se khushki door ho jayegi.

**Jaaṛon mein bal ghangriale ho jate hain. Unhen seedha rakhne ke liye garam paani istemal na kijiye, balkay jelly laga kar unhen dhoien. Aap jo ghizaain khati hain, woh bhi aap ki sehat par asar andaz hoti hain.

Lohmiyat (proteins) balon ke liye bohot mufeed hoti hain. Chunancha agar aap lohmiyat khayengi to aap ke balon ko tawanai milti rahe gi.

Is ke ilawa aisi ghizaain khaien, jin mein hayateen alif, jee (vitamins A, C), folad aur omega-3 hon. Narangi, kela, papita, paneer, anda, machhli, murghi, palak aur hare paton wali sabziyan khanay se bhi balon ki nashonuma achi hoti hai.

Related Content

اگر رات میں اچھی نیند نہیں آتی تو یہ طریقے اپنالیں

فلو وائرل بیماری

10 آسان صحت کے راز جو آپ کو لازمی جاننا چاہئے

Leave a Comment