Aankhon se judi kayi bimariyan hain jin mein se aksar qabil-e-ilaaj hoti hain lekin kuch aisi bimariyan bhi hoti hain jin se bachna mushkil hota hai.
‘Glaucoma’ ek aisi hi bimari hai jo haal hi mein kaafi zyada had tak aam ho rahi hai. Is bimari ke phailne ki ek wajah yeh bhi hai ke zyadatar iska aghaaz bina kisi qisam ki alamaat ke hota hai aur is waqt tak is ke baare mein ilm nahin hota jab tak ke mutasir shakhs ki binaai kaafi had tak ja chuki hoti hai.
Aur yehi wajah hai ke is bimari ke barh jaane ke baad binaai ko behaal karna mumkin nahin rehta lekin is pur-asrar bimari ki alamaat hoti kya hain aur un ko ibtedai waqt mein kaise jaancha ja sakta hai?
Saath hi saath yeh sawaal bhi apni jagah ahem hai ke is bimari ka ilaaj kaise mumkin hai?
Glaucoma Kya Hota Hai?
Glaucoma ek aisi bimari hai jo aankhon ko mutasir karti hai. Is bimari mein aankhon ko dimaagh se jorne wali nason par asar parta hai.
British Health Service NHS ke mutabiq is ki wajah aisa maadah hota hai jo aankhon mein ikatha ho kar nason par dabao dalta hai aur un ko nuqsaan pohchata hai.
Glaucoma se mutasir afraad ki binaai mutasir hona shuru ho jaati hai aur agar ibtedai marhale mein is ki tashkhees nah ho aur ilaaj nah shuru kiya jaaye to binaai mukammal tor par kho sakti hai.
Yeh bimari taqreeban har umar ke afraad ko hi mutasir karti hai lekin 70 se 80 saalay afraad mein is bimari ke khatrat zyada hote hain.
Glaucoma ki alamaat kya hoti hain?
Is bimari se judi ek pechidgi yeh hai ke ibtedai marahil mein is ki koi alamaat wazeh nahin hoti aur isi liye is ki tashkhees tajrubon se hi mumkin hoti hai.
Waqt ke saath is bimari ki shiddat mein izafa hota hai jis se binaai mutasir hona shuru ho jaati hai.
Hatta ke ek waqt aisa aata hai jab mutasir shakhs apne qareeb mojood koi cheez nahin dekh paate. Nazar mein dhundlay pan ki shikayat ya phir roshni ke gird qaws qazah jaise daire nazar aana glaucoma ki alamaat mein shamil hain.
Agarche yeh bimari dono aankhon ko mutasir karti hai taham kabhi kabhaar sirf ek aankh bhi mutasir ho sakti hai.
Ahem baat yeh hai ke is bimari ki alamaat achanak samne aati hain aur un mein se chand aam alamaat yeh hain:
– Aankhon mein shadeed dard ki shikayat
– Matli ka ehsas aur ultiyon ana
– Aankhon ka laal ho jana
– Sar mein dard ki shikayat
– Aankhon ke gird narmi ka ehsas
– Dhundlay nazar ki shikayat
Ilaaj kab karwana chahiye?
Agar aap ko apni nazar mein kisi qisam ke masaail ka samna hota hai to zaroori hai ke fori tor par doctor se raabta kiya jaye.
Glaucoma ki tashkhees aur ilaaj ibtedai marahil mein hi hona bohot ahem hota hai warna is baat ka khauf hota hai ke batadreej is ki shiddat mein izafa hoga aur binaai mukammal tor par ja sakti hai.
Isi liye mandraja bala alamaat mein se kisi ka bhi ehsaas hone par unhein nazar andaz mat karein aur fori tor par emergency samjhte hue hospital jayein.
Glaucoma ki aqsaam
Glaucoma ki bohot si aqsaam hoti hain lekin in mein se sab se aam ‘open angle glaucoma’ hoti hai jis mein mutasir shakhs ki aankh bataur-e-bartari mein mutasir hoti hai.
Is ki ek aur qisam ka naam ‘acute angle glaucoma’ hai jo kaafi naayab hai. ‘Secondary glaucoma’ bhi ek aur qisam hai jo aankhon ki sozish ya phir uveitis naam ki bimari ki wajah se lahaq ho sakti hai.
Glaucoma ki ek aur qisam hai jise ‘congenital glaucoma’ kehte hain aur yeh bhi kaafi naayab hoti hai. Glaucoma ki yeh qisam kam umri mein hoti hai jisme aankh ghair mamooli tarz ki nazar aati hai.
Leave a Comment
You must be logged in to post a comment.