Taboot Ki Shakal Ki Registered Car Nilami Ke Liye Paish

Ek dragster style ki custom car design ki gayi hai jo bilkul taboot jaisi nazar aati hai. Car ko haal hi mein 28,750 dollars mein neelami ke liye pesh kiya gaya, jo fori tor par viral hogayi.

1965 ki ek television series “The Munsters” ki qist mein Drag-U-La Coffin car ki shakal se masha’alah yeh ghair riwayati shakal ki vehicle ek custom box frame chassis aur ek 8 inch ki fiberglass ke taboot ki shakal ki bodywork par mushtamil hai.

Ye darasal koi taboot nahi balkeh ise ye shakal is liye di gayi hai ke car ke rear axle ke peechay driver ke bethne ki jagah banai jasake lekin dekhne mein ye bilkul taboot ka andaz liye hue hai.

Har tarah se mukammal ye car bishumool rear wheels jo ke racing slicks mein lipta hua hai jabke iska organ style ka vertical exhaust pipes aur lantern style ki lighting ise mazeed muta’asir kun banati hai.

Ye taboot car dekhne mein ek haqiqi road par chalne wali car se zyada ek movie prop lagti hai. Lekin ye ek bilkul asal aur 1928 mein New York mein registered Ford car hai aur iska mustanad license plate hai.

Related Content

Tesla Changes Windshield Wiper Speed Controls For The Better

Kya Tesla Apne Zawaal Ka Daur Guzar Raha Hai?

Kya Tesla Apne Zawaal Ka Daur Guzar Raha Hai? Elon Musk Saste Cars Ki Taraf Muntakil Jabke Munafe Mein Kami

اب آلٹو ہائبرڈ ماڈل میں بھی دستیاب ہو گی

اب آلٹو ہائبرڈ ماڈل میں بھی دستیاب ہو گی

Leave a Comment