Kya inverter AC kam bijli kharch karte hain?

  1. Bijli ki bachat: Inverter ACs kam bijli kharch karte hain aur billon mein kami late hain.
  2. Musalsal comfort: Inverter technology compressor ki raftaar ko adjust karke mehsoos darja-e-hararat ko barqarar rakhti hai.
  3. Kharcha kam: Inverter ACs mehngay hain magar bijli ka kam istemal karke mahana bills kam karte hain.
  4. Lambi muddat ka faida: Inverter AC ka aala kharcha chand saalon mein poora ho jata hai bijli ki bachat se.
  5. Behtareen karkardagi: Inverter ACs kam awaaz, kam kharabiyon aur zyada reliability ke sath purane models se behtar hain.

Kya inverter AC kam bijli kharch karte hain?

Yeh masla purana hai ke aap ko sooraj ki tapish aur garm mausam se bachne ki zarurat mehsoos hoti hai, magar AC on karna budget par kaafi bhaari bharam boojh sabit hota hai.

Lekin ijaadaton aur technology ne humein is masle se nijaat dilwa di hai; aaj ghareeb huay baghair bhi AC jaise fawaid se lutaf andoz hona mumkin hai.

Inverter technology wale AC kam bijli kharch karte hain, paise bachate hain aur kam waqt mein zyada aaraam faraham karte hain.

Toh aakhir yeh inverter par mushtamil air conditioning kya hai aur yeh mojooda technology se kis tarah mukhtalif hai?

Aaiye iska jaiza lete hain:

Hum aam tor par apne kamre ka darja-e-hararat apni zarurat ke mutabiq rakhte hain (maslan hum thermostat ko 25 degree centigrade par rakhte hain).

Hamari khwahish ke mutabiq darja-e-hararat hasil karne ke liye compressor ko ek muqarrar raftaar se chalna hota hai jo ke iski sabse zyada raftaar hoti hai, jiske baais bijli bhi sabse zyada kharch hoti hai.

Darja-e-hararat matlooba satah par pohanch jane par thermostat compressor trip kar deta hai aur iska blower kaafi sust raftari se chalne lagta hai.

Par agar hamare kamre mein hawa leak hone ke raste hon (jahan se garm hawa andar aati ho) to kamre ka darja-e-hararat yakayak barh jata hai.

Nateejatan thermostat compressor ko phir se chalne aur hamare matlooba darja-e-hararat ko bahal karne ki hidayat jaari kar deta hai.

Itaali tor par compressor ka trip hojana faidamand hona chahiye kyunke jab compressor chal nahi raha hota to hum bijli kam istemal kar rahe hote hain.

Magar sitam zareefi yeh hai ke compressor ki baar baar tripping aur dobara start hone ki wajah se zyada bijli kharch hoti hai, kyunke jab yeh apne normal mode par chal rahe hote hain iske muqable mein start hone ke liye zyada bijli khenchte hain.

Inverter technology ne is cheez ko badal kar rakh diya hai: compressor ke chalne ko mukhtalif raftar set karne wali device ke zariye control kiya jata hai jo ke bijli ke ek DC zariye se chalti hai.

Sada zaban mein kahen to yeh kamre ka darja-e-hararat mehsoos karte huye compressor ko chalane wali motor ki raftaar ko mustahkam rakhta hai.

Agar kamre ka darja-e-hararat zyada hai to compressor bhi is mutabiq tez raftari se chalega.

Agar darja-e-hararat girta hai to compressor ki raftaar bhi gir jati hai.

Yeh technology kabhi bhi compressor ko trip nahi hone deti, balke khwahish ke mutabiq thandak ko barqarar rakhne ke liye ise munasib raftaar se chalati rahti hai.

Is tarah ek aam compressor start hone ke douran bijli ka istemal kam ho jata hai.

Inverter AC mehngay hote hain magar yeh apni keemat ko moassar cooling ke zariye poora kar dete hain.

Kam utar charhao ki wajah se yeh bijli bhi kam kharch karte hain.

Inverter AC bijli ke billon mein 30 percent kami late hain magar mahal ke darja-e-hararat, coolant gas ki qism, motor ki qism aur doosray technical parzon ki buniyad par yeh shara 50 percent tak bhi ja sakti hai.

Is tarah yeh cheezein inverter AC ko kam aawaaz, kam kharabiyon aur bijli ke kam istemal ke sath purane AC units ke muqable mein zyada bharosa mand aur moassar bana deti hain.

Misal ke tor par ek 1.5 kilowatt rating wala ek non-inverter AC 7.0 amperes kharch karta hai aur ek inverter AC jo 2.6 kilowatt ki rating rakhta hai, (0.9 se 3.0 kilowatt ke darmiyan kaam karta hai) 2.8 amperes khenchta hai.

To ek non-inverter AC 8 ghantay chalne par 10 units kharch karta hai, jabke ek inverter AC utni hi der tak chalne ke baad sirf 4 units kharch karta hai.

Agar hum unit ki keemat 6 rupay per unit muqarrar karte hain to ek non-inverter AC mahinay mein 1,800 rupay ki bijli kharch karta hai jabke ek inverter AC utna hi chalne par mahinay mein 720 rupay ki bijli kharch karta hai.

Is tarah aap ko mahinay mein 1,080 rupay ki bachat hoti hai.

Agar ek inverter AC par 1 lakh rupay ki lagat aati hai aur isi rating aur cooling ke liye ek non-inverter AC par 65,000 rupay ki lagat aati hai, to inverter AC ka kharcha sirf teen saalon mein hi wapas moosool ho jata hai.

Agar aap kahen ke inverter AC puranay models ke muqable mein mehngay hote hain, to aap durust bhi hain.

Magar haqeeqat yeh hai ke agar aap inverter AC ke liye apne paise kharch kar sakte hain, to badle mein taweel muddat tak yeh aapke kaafi paise bachaenge.

Leave a Comment