Woh Saat Cheezen Jinhein Garm Mausam Mein Gaari Mein Rakhna Khatarnaak Sabit Ho Sakta Hai

Pakistan ke mukhtalif ilaqay is waqt heat wave ke lapait mein hain. Is ki wajah se jahan bohat se masail janam le rahe hain kuch aisi baatein hain jinhein is garm mausam mein hum anjanay mein nazar andaz kar ke baray nuqsan ka moojab ban sakte hain.

Islamabad ke rehne wale Rehan Alam ke saath bhi guzishta dino ek aisa hi waqia pesh aaya. Rehan kisi bhi hngami soorat-e-haal se nimatnay ke liye apni gaari mein aag bujhanay wala spray rakhte hain jo ek din garmi ki shiddat ke bais achanak phat gaya.

BBC se baat karte hue Rehan ka kehna tha ke ‘Is waqia mein koi jani nuqsan to nahi hua magar is ki wajah se meri nai gaari ka androni hissa khasah mutasir hua hai.’

Rehan ka kehna tha ke ‘Meri adat hai ke mein gaari mein aag bujhanay ka chhota aala (fire extinguisher) rakhta hoon taake kisi bhi nakhushgawar waqia se nimta ja sake. Taaham guzishta dino achanak parhne wali shadeed garmi se ye phat gaya.’

Agar aap social media par nazar daurain to Pakistan mein barhti garmi ke sath aap ko sarifeen ki jaanib se aisi posts aur videos share hoti hui milengi jin mein gaari mein mojood cigarette lighter, body spray ya perfume waghera ke phatnay ke waqiat ka tazkara kiya gaya hai.

Mausam-e-garma ke doran tibi maharin awaam ko sehat ke hawalay se ehtiyati tadabeer apnane ka mashwara detay hain lekin kya aap jantay hain ke is garm mausam mein aapki gaari mein mojood roz marra istemal ki ashya bhi garmiyon mein khasih ehtiyat ki mutaqazi hoti hain aur agar un ki taraf tawajjo na di jaye to nuqsan ho sakta hai.

San Francisco State University ke maharin ke mutabiq mausam-e-garma mein dhoop mein mojood aapki gaari ke andar ka darja hararat bahar ke darja hararat se do guna se bhi zyada ho sakta hai. Maharin ka kehna hai ke gaari ke andar ke zyada aur intehai khatarnaak darja hararat ki wajah se is mein mojood ashya khatarnaak sabit ho sakti hain. Aise mein zaroorat is baat ki hai ke aap ko is bare mein ilm ho ke is garm mausam mein aapko apni gaari ke andar kya rakhna hai aur kya nahi.

Woh Saat Cheezen Jinhein Garm Mausam Mein Gaari Mein Rakhna Khatarnaak Sabit Ho Sakta Hai

Is report mein hum in saat cheezon ke bare mein batayenge jinhein garmi ke mausam mein gaari mein nahi chhorna chahiye.

Bachay aur paalto janwar

Bachay aur paalto janwar
Bachay aur paalto janwar

Yahan jin saat cheezon ke bare mein aapko hum maharin ki raye ki roshni mein batane ja rahe hain un ki jaanib barhne se pehle ibtida is baat se karte hain ke mausam-e-garma mein bachon aur paalto janwaron ko gaari mein akela bilkul chhor kar na jayein.

Maharin mashwara detay hain ke chahe aap kisi bhi dukan ke bahar gaari chand hi lamhat ke liye khari kar ke koi ek chhoti si bhi cheez lene ke liye jana chahtay hon to bhi aisa na karein.

San Francisco State University ke maharin ke mutabiq shadeed garm mausam mein aisi soorat-e-haal mein aapki mamooli si laparwahi kisi baray nuqsan ka sabab ban sakti hai.

Maharin ke mutabiq gaari ke andar mausam-e-garma mein darja hararat khatarnaak had tak barh jata hai jis se bachon aur paalto janwaron mein heat stroke aur phir dam ghoontay ka bhi khatra ho sakta hai.

Body spray aur perfume

Garm mausam ki wajah se paseena ana ek aam si baat hai jis ke bais insani jism mein paida hone wali paseenay ki nagawaar boo pareshani ka baais ho sakti hai.

Aur isi boo ko door karne ke liye hum amooman gaari ke dashboard mein body spray ya perfume waghera rakhte hain. Magar khayal rahe ke heat waves ke is mausam mein aisa karna khatarnaak sabit ho sakta hai.

**Maharin ke mutabiq zyada tar perfumes mein alcohol ki kaafi miktar pai jati hai. Jab perfume ki botlon ko garm gaari mein ch

hor dia jata hai ya gaari mein taweel arsay tak barah-e-raast dhoop ke samnay rakha jata hai to alcohol ke garm hone aur is wajah se phatne aur aisa hone ki soorat mein aag lagne ka khatra hota hai.**

America ki Environment Protection Agency ke mutabiq gaari mein aerosol body spray shadeed mosmi halat mein phat sakte hain jis ki wajah se nuqsan ka andesha hota hai.

Hand Sanitizer

Hand Sanitizer

Corona ki waba ke baad se hum mein se ek barri taadaad aise logon ki hai jo ab is waba ke baad aur shayad is se pehle bhi hathoon ko jaraseem se paak karne wale lotion aur oil istemal karte hain.

Magar maharin ke mutabiq hand sanitizer ki wajah se gaari mein aag lagne ka khatra intehai zyada hota hai.

Duniya ke mukhtalif mumalik mein kaam karne wali National Fire Protection Agency ke Technical Services ke Director ne apne ek haaliya interview mein bataya ke ‘Hand sanitizer mein shamil alcohol ki barri miktar garm mausam mein ise khatarnaak bana deti hai. Is ke gaari mein istemal ke baad ek chhoti si chingari bhi aag ke bhadakne ka sabab ban sakti hai.’

Dosri jaanib America ki Environment Protection Agency ke mutabiq gaari mein ek chhota sa gas ka container ya aerosol spray container intehai khatarnaak sabit ho sakta hai. To aise mein body spray, car air fresheners aur aag bujhanay ke liye kaam ane wale spray garmi ki shiddat ki wajah se phat sakte hain.

Batteries

Duniya ki maroof mobile company Apple ke mutabiq mobile phones, tablets ya laptop mein mojood lithium-ion batteries sooraj ki roshni aur tapish mein zyada dair raabte mein aane ki wajah se phat sakti hain jis ki wajah se gaari mein aag ke bhadakne ka khatra hota hai.

Yad rahe ke ye ashya inhein thanday mahaul mein rakhne ke liye ek intebah ke sath aati hain. Taaham agar batteries zyada garm mosmi halat ka samna karein to is ki wajah se masnoaat ki karkardagi bhi mutasir ho sakti hai.

Aise hi power banks aur computer hard drives bhi khatarnaak sabit ho sakti hain.

Cigarette Lighter

Cigarette lighters ke andar bhi mawai gas mojood hoti hai. Jab inhein gaari mein chhor dia jaye to garmi aur gaari mein barh jane wale darja hararat ki wajah se ye phat sakte hain aur aag bhadak uthne ka baais bhi ban sakte hain.

Isi noiyat ke deegar aatish geer maday ya alat bhi garm mausam mein khatarnaak sabit ho sakte hain.

Adwiyaat, khana aur pani ki plastic ki bottlain

Stanford University School of Medicine ke maharin ka kehna hai ke agar aapki gaari kisi bhi maqam par sooraj ki roshni mein khari hai to aise mein aapki gaari mein mojood adwiyaat ka asar zael ho sakta hai aur woh aapko faida dene ke bajaye sehat ke liye nuqsan ka baais ho sakti hain.

Isi tarah University of Minnesota ke maharin ka kehna hai ke pani ki bottlain, khas tor par plastic ki bottlain bhi zyada dair gaari mein rehne aur shadeed garmi ki wajah se intehai khatarnaak ho sakti hain kyunke gaari ke garm hone ki wajah se jahan ek taraf aapko garm pani peene ko milega wahin plastic ki bottle ke dhoop mein garm hone ki wajah se is ke khatarnaak hone ke imkanaat bohot zyada ho jate hain.

Isi tarah maharin ka kehna hai ke garm mausam mein pehle se tayar kardah khana aur sabziyan bhi nahi rakhni chahiyen kyunke aisa karne se in mein bacteria ki barri taadaad paida hone ka khatra barh jata hai jo aapki sehat ke liye intehai khatarnaak hai.

Geelay kapray

Mausam ki shiddat ki wajah se aksar logon ki koshish hoti hai ke woh kisi na kisi aisi jagah ka rukh kar saken ke jahan pani ho aur us mein naha kar garmi ko bhagane ki ek koshish kar saken. Yeh sab to ek janib magar is ke baad wapsi ke safar ke doran apne geelay kapron ko munasib andaaz mein kisi jagah rakhein.

Tibi maharin ka kehna hai ke geelay kapray ya toliya gaari ke andar chhorne ya rakhne se bacteria aur phaphondi ki nashonuma ho sakti hai. Maharin-e-sehat ka kehna hai ke geelay kapron ya toliye par chhori gayi nami jaraseem ki taadaad mein izafay ke liye ek shandar mahaul paida kar sakti hai.

Garm mausam mein safar ke liye chand ehtiyati tadabeer

PakWheels ke Chairman Sunil Munj ne BBC ko bataya ke is garm mausam mein sab se pehle to apni gaari ke tire mein hawa ke tanasub ka khayal rakhne ki zaroorat hai aur is baat ka hamesha khayal rakhein ke gaari ke chaaron tiron mein hawa munasib ho. Isi ke sath sath garmi ke mausam mein agar aapki gaari ke tire puranay aur kamzor hain to lambe safar se ijtinab karein.

Unka mazeed kehna hai ke mausam-e-garma ke aghaz ke sath hi apni gaari ke radiator ko saaf karwain, aksar aisa hota hai ke gaari ka radiator mitti ki wajah se choked ya band hota hai jis ki wajah se gaari garm ho sakti hai aur engine ko nuqsan ho sakta hai. Isi ke sath sath radiator ko thanda rakhne ke liye achay aur mayari coolant ka istemal karein.

Sunil ka kehna hai ke garm mausam ki amad se pehle apni gaari ke AC aur battery ko bhi check karwain. AC ke filter ki safai karwain taake doran-e-safar garmi ki shiddat se bacha ja sake.

Unka mazeed kehna hai ke awwal to koshish karein ke is garm mausam mein lamba safar na kiya jaye lekin agar majboori ki wajah se nikalna paray to ghuroob-e-aftab ke baad ya tulu-e-aftab se sab pehle karein.

Leave a Comment