Halhiya barson ke doran Pakistan samet duniya bhar mein air conditioner (AC) ka istemal barh gaya hai jis ki wajah mousamiyat ki tabdiliyon ki wajah se darjah hararat mein izafa hai.
Magar AC bhi mukhtalif aqsam ke hote hain, kuch afrad center air ka nizam pasand karte hain jis mein vents ke zariye thandi hawa ko ghar ke mukhtalif hisson tak pohanchaya jata hai.
Magar doosre window ya portable air conditioners par inhsaar karte hain.
Window AC, wall ya split AC aur portable air conditioners market mein dastiyab teen mashhoor tareen options hain.
Har ek ke apne faiday hain aur kisi unit ko lenay se qabal ghar ke hissay aur budget ka khayal bhi rakhna hota hai.
To in teeno air conditioners mein numaya farq ko jaanain aur faisla karein ke aap ke ghar ke liye kaunsa behtar hai.
Window air conditioner Window air conditioner ek chhoti machine hoti hai jo kisi open window mein fit ajati hai taake ghar ya kamray ko thanda kiya ja sake.
Is qisam ke AC ko lagane ke liye aap ko khirki ki pemaish karna hogi aur us ke mutabiq durust size ka intikhab karna hoga.
Portable air conditioner Portable air conditioner aisa unit hota hai jise aap ghar mein kahin laga sakte hain, window AC ke baraks yeh portable units ghar ke andar hote hain.
In air conditioners ke saath aik pipe aur aik window cut hoti hai, yeh cut khirki ke behtareen hisso ko seal kardeti hai aur aik chhota suraj baqaidah rehta hai jis se pipe ko guzara jata hai taake nami ko bahar nikala ja sake.
In ke zyada mehngay models 2 pipes ke dastiyab hote hain, ek ghar se bahar ka hawa ko khenchta hai aur doosra kamray ki nami aur garam hawa ko bahar nikalta hai.
Yeh units us waqt bohot karaamad hote hain jab ghar mein mukhtalif kamray hote hain aur un ke liye kayi ACs khareedna nahi chahte hoon.
Aap aik unit ko din bhar mein aik se doosri jagah muntaqil kar sakte hain.
Wall air conditioner Yeh lag bhag window unit jaise hi hote hain yani jis mein hawa coils se guzar kar kamre mein thandi hawa bheji jati hai.
Yeh bahri deewar ke ek sorakh mein nasb hote hain aur window unit ke muqable mein kamre mein kam jaga gherte hain aur zyada arsey tak kaam karte hain.
Aik achi baat yeh hai ke in ko aasani se badla bhi ja sakta hai kyunke bus bahar mojood unit theek hona chahiye, magar in ki coverage ka hissa mukhtasar hota hai.
Qeemat In teeno ki qeematien mukhtalif ho sakti hain jis ka inhsaar is baat par hota hai ke kaunsa brand ko tareeq diya jata hai jab ke kamray ki gunjaish bhi is hawale se ahmiyat rakhti hai.
Misal ke tor par portable AC chhotay kamron ko thanday karne ke liye behtareen hote hain aur in ki qeemat itni gunjaish wale window AC se zyada ho sakti hai.
In ke muqable mein wall air conditioner kuch mehnga ho sakta hai magar yeh bijli doosre units ke muqable mein kam kharch karte hain to tawil al maeed bunyadon par bijli ke bil mein bachat se woh azaye kharcha poora hota hai.
Installation Portable AC ko install karne ke liye zyada mehnat ki zaroorat nahi hoti balkay in ko kisi bhi kamre mein raka ja sakta hai aur windows cut nami aur garmi ko bahar nikalti hai.
Windows aur wall AC ko lagana kuch mushkil hota hai, ek to in ka wazan kuch zyada hota hai aur akela lagana bohot mushkil balke khatarnaak bhi hosakta hai.
Agar uthaa bhi lein to in ko mehfooz tareeqay se install karna kisi bade challenge se kam nahi hota.
Jaga bachana Kisi bhi jagah le jana aur aasani se install hona portable AC ki khasiyat hai magar jab jaga gherna ki baat ho to wall aur window AC numaya sabqat hasil hoti hai.
In dono ka sab se bara faida yehi hai ke inhein farsh par rakhne ki zarurat nahi hoti, jo waise to baray gharo mein koi masla nahi magar chhotay gharo mein zarurat hoti hai.
Chhotay apartments mein rehnay walon ke liye window AC zyada behtar intikhab hota hai kyunke wall AC ko lagane ke liye bhi kuch zehmat hosakti hai.
Leave a Comment
You must be logged in to post a comment.