Solo Dining: Akele waqt guzaarne ka naya trend kya hai?

Web Desk – Aam tor par humne ‘Solo Traveling’ ke baare mein suna hoga, lekin ab restaurants mein ‘Solo Dining’ ka barhta rujhan dekha ja raha hai.

Restaurant mein akele baithe shaks ka khana khana ya cafe mein akele apni coffee enjoy karna ‘Solo Dining’ kehlata hai, aur duniya bhar mein is trend mein izafa ho raha hai.

Khabar rasan idare ‘Associated Press’ ke mutabiq San Francisco se talluq rakhnay wali scientist aur cancer researcher Parisa Amanirad shadi-shuda hain aur unka doston ka circle bhi khasa wasi hai. Lekin wo hafte mein ek ya do baar akele restaurant jati hain.

Unke mutabiq, akele khana khane se unhe sochnay aur kuch parhnay ka waqt milta hai, aur is dauran wo koshish karti hain ke phone ko haath na lagayein aur khamoshi ko enjoy karein.

Parisa ka kehna hai ke yeh “spa par jane ki tarah hai.”

Yeh to baat Parisa ki thi, lekin America mein guzishta do saalon ke dauran Solo Dining mein 29% izafa hua hai.

Solo Dining

Restaurant reservation aur booking company ‘OpenTable’ ke mutabiq, America mein pichhle do saalon mein Solo Dining reservations mein 29% ka izafa dekha gaya hai.

‘OpenTable’ ke mutabiq, Germany mein rawan saal 18% aur UK mein Solo Dining reservations mein 14% izafa hua hai.

Japan mein to Solo Dining ke liye ek khususi istilah ‘Ohitorisama’ istemal ki jati hai, jiska matlab hai ‘tanha’. Solo Dining ke liye is lafz ka istemal karne ka maqsad yeh hai ke akele dining karne walon ko jhijhak mehsoos na ho.

Japan ke ‘Hot Pepper Gourmet Eating Out’ namak research institute ke halia survey ke mutabiq 23% Japanese shehri akele khana pasand karte hain. Saal 2018 mein yeh shirah 18% thi.

Isi wajah se ab Japan mein bohot se restaurants baithne ke intizam mein tabdeeli ke sath menu mein bhi akele khane walon ko attract karne ke liye khususi tabdeeliyan kar rahe hain.

Institute ke researcher Masahiro Anagaki ka kehna hai ke “ab family restaurants mein bhi counter seats ya akele baithne ke liye intizam mein izafa ho raha hai. Iske sath restaurants chhoti serving walay khanay bhi menu mein shamil kar rahe hain jo ek fard ke liye munasib hain.”

‘OpenTable’ ke CEO Debby Soo ka khayal hai ke ghar se kaam karne ke silsile ne Solo Dining ke trend ko barhawa diya hai.

Unka kehna hai ke social media par ‘self-love’ aur ‘self-care’, yaani khud se mohabbat aur khud ka khayal rakhne wali campaigns bhi is rujhan mein kirdar ada kar rahi hain.

Solo Dining par mutaala karne wali Pennsylvania University ki professor Anna Mattila ka kehna hai ke Corona wabaa ne logon ke milne-julne ke rujhan ko kam kar diya hai.

Unke mutabiq ab culture tabdeel ho gaya hai aur log Solo Dining karne walon ko ab is nazar se nahi dekhte ke woh shakhs zaroor tanha hoga.

Saal 2019 mein Pew Research Center ke ek mutaale mein yeh baat samne aayi thi ke 25 se 54 saal ki umr ke darmiyan 38% American kisi partner ke baghair zindagi guzaar rahe hain. Yeh shirah 1990 mein 29% thi.

Iske ilawa, logon mein Solo Travel yani akele ghoomne phirne ke rujhan mein bhi izafa hua hai, jo Solo Dining mein bhi izafa ka sabab bana hai.

Houston se talluq rakhne wale ek content creator Shaun Singh kehte hain ke wo lagbhag 70% akele khana khana pasand karte hain.

Yeh yaad rahe ke har restaurant Solo Dining karne walon ke liye acha sabit nahi hota. UK ke ek hotel Cafe Royal ne Solo Dining karne wale Alex Dilling se do logon ke barabar paisay charge kiye.

‘Associated Press’ ne is baare mein restaurant se baat karne ki koshish ki, lekin unhone jawab nahi diya. Restaurant ki website par yeh likha hai ke wo do logon se kam ki reservation nahi karte.

Is khabar mein shaamil maloomat ‘Associated Press’ se li gayi hain.

Related Content

Benai Tez Karne Wali Ghizayein | Eyesight Taiz Karne Wali Ghazain

Duniya Ki Chhoti Tareen Washing Machine

Vrchoyl Travel Model Lali Rain Ki Mahana Aamdani Kitney Hazaar Dollars Hai ?

Vrchoyl Travel Model Lali Rain Ki Mahana Aamdani Kitney Hazaar Dollars Hai ?

Leave a Comment