Billi Kisi Shakhs Ko Bhoolnay Mein Kitna Waqt Lagati Hai ?

Aap ne shayad sun rakha ho ke billiyan un ke man pasand ghar se chaahe jitna bhi door chhodo, woh naqabil-e-yaqeen tor par wapas chali aati hain, billiyan naam yaad rakhne mein maahir aur aakhri bar kahin chhode hue apne khane ke maqam ko bhi kabhi nahi bhoolti.

Kya billiyon ki yaadasht hoti hai?

Ji haan! Billiyon se mutaliq maahirin ka kehna hai ke in mein bhi yaadasht mojood hoti hai jabke un ki mazboot yaadasht hi inhen doosre janwaron se mukhtalif banati hai.

Maahirin ka kehna hai yeh wazeh hai ke billiyon mein yaad rakhne ki salahiyat mojood hoti hai, misaal ke tor par billiyan apne maalik ki janib se rakhe gaye naam ko kabhi nahi bhoolti.

Billiyon se mohabbat karne walon ke dilon mein aksar yeh khadsha rehta hai ke un ke zyada dinon tak door chale jane se kahin un ki paltu billi inhen bhool to nahi jayegi.

Maahirin ka kehna hai ke billiyan apne jazbaat ka izhar kutton se mukhtalif tareeqe se karti hain lekin is ka matlab yeh nahi ke woh aap ko bhool jayengi ya kutton se kam mohabbat karti hain.

Lekin asal sawal yeh hai ke un ki yaadasht darasal kaam kaise karti hai?

Maahirin ka kehna hai ke billiyon ki qaleel muddati yaadasht taqreeban 16 ghante hoti hai, jo un ke liye rozmarra ki routine ke liye mufeed sabit hoti hai, woh amali cheezon ko yaad rakhti hain jaise ke un ka khana kahan hai ya ghar mein chhupne ke mehfooz maqamat kon kon se hain, billiyan yeh bhi yaad rakh sakti hain ke khatre se bachne ke liye kin cheezon se bachna hai aur kidhar se raah-e-farar lena hai.

Jab baat taweel al muddati yaadasht ki ho to mutaale se pata chalta hai ke ek billi zindagi ke kuch waqeaat ko teen saal tak apne dimagh mein barqarar rakh sakti hai, bisharti ke woh waqeaat un ke liye aham hon.

Insanon ki tarah, ek billi ki yaadasht bhi umar ke sath sath, aam tor par 12 saal ki umar ke sath kam hona shuru ho jati hai.

Kya billiyan apne malikan ko yaad rakhti hain?

Bilkul, billiyan ko un ke malikan yaad rehte hain.

Choonke billiyan ka maalik un ki baka ke liye bunyadi zarooriyat jaise ke khoraak aur panaah gah faraham karta hai, is liye billiyan aam tor par apne insani sathiyon ko zindagi bhar ke liye yaad rakhti hain.

Billiyan ki soonghne ki has bohot mazboot hoti hai jo inhen apne ilaaqe mein wapas lane aur nishan zad karne mein madad karti hai, khushboo zehan nasheen karne ki salahiyat ki badolat hi billiyan ‘ghar wapsi ka rasta’ aur ‘kahan un ki zaroori cheezen maslan un ka bistar, koora ka daba, khilone waghera rakhein hain’ sab yaad rehta hai.

Lehaza, jab agli baar aap taweel safar ke baad ghar wapas aayen aur aap ko yeh fikar sataye ke aap ki billi kahin aap ko bhool to nahi gayi to is ka jawab hai ke khud ko pursukoon rakhein, aisa hargiz nahi hai.

Related Content

Benai Tez Karne Wali Ghizayein | Eyesight Taiz Karne Wali Ghazain

Solo Dining: Akele waqt guzaarne ka naya trend kya hai?

Duniya Ki Chhoti Tareen Washing Machine

Leave a Comment