Muskurahat Begum By Dr Mohammad Younis Butt

 

BV aur TV mein yeh farq hai ke TV ki nashriyat ke mehdood auqaat hain, jabke BV ke mamlay mein yeh sab aap ki auqaat tak mehdood hai. Lekin BBC TV ek toh BB ooper se TV goya bohot hi TV. Guzishta dinon BBC ne badi BB, si baat ki. Us ne aik aisa program nashar kiya jise dekh kar hum abhi tak muskura rahe hain.

Yeh program nami grammi gulaakarah Miss Sandy ka tha. Yahan Grammy se murad gramon mein mohtarma ka wazni hona nahi, agarche woh dekhne mein hamari ek adakarah se milti hain jinhen ek sahafi ne mohtarma kaha toh naraz ho gayin ke us ne humein munh sofa kaha. Beharhaal is interview mein Miss Sandy ne kaha hai ke mujhe hazaaron nojawanon ke walidain ne shaadi ki darkhwastain di hain.

Mein aainda maah ek taqreeb mein sab ko mad’oo karungi jahan jo zyada dair tak muskuraye ga us se shaadi kar loon gi.
BBC ki is BB ki yeh baat hamari samajh mein nahi aayi ke aakhir hazaaron nojawanon ke walidain ne hi mohtarma ko shaadi ki darkhwastain kyun di, nojawanon ne koshish kyun nahi ki. Ho sakta hai mohtarma ne muskurahat ki yeh shart rakhi hi is liye ho ke shaadi shuda aur walidain qisam ke logon ki chaanti ho sake, kyunke shaadi shuda ko itna muskurane ki aadat nahi hoti.

Shaadi ke baad to yeh haal hota hai ke kisi ne ek shakhs se poocha “Aap shaadi shuda hain!” to us ne kaha “Nahi darasal meri abhi abhi car chori hui hai is liye aap ko lag raha ho ga.” Louis Sufian bade maze ki baat likhta hai “Khawand aur biwi khushiyon bhari zindagi basar kar rahe the ke ek din un ki achanak mulaqat ho gayi.” Miss Sandy ka taluq France se hai. Agarche khawateen ke naam ke sath Miss darasal zaroorat rishta ka ishtihar hi hota hai, magar is ke bawajood ek sahafi ne Miss Sandy ka Miss un ke naam ka hissa samajh kar poocha “Aap shaadi shuda hain?” to us ne kaha “Nahi, aaj kal to nahi.”

Ek Fransisi ne kaha tha hamari aurtein banao singhar par jitna kharch karti hain, itna to hamari fouj ka budget nahi. To Fransisi aurat ne kaha, “Jitne karnamay hamaray mashhoor hain utnay fouj ke to nahi.” Nazuk andam Fransisi auratein chehray ki jhuriyon se nahi ghabraati, bishart-e-ke woh un ke apne chehray par na hon. Miss Sandy ki sab se badi khoobsurat cheez us ki awaaz hai, jis mein itna soz hai ke jab woh gaati hai, woh chaltay log ruk jatay hain ta ke usay chup kara saken.

Ek Fransisi siyasatdaan ne kaha tha mere nazdeek ideal aurat woh hoti hai jo itni khoobsurat ho ke mein us se shaadi ke liye tayar ho jaon aur woh itni kam aqal ho ke woh mujh se shaadi ke liye razamand ho jaye. Yoon us lehaz se Sandy ideal nahi, agarche hamaray nazdeek ideal wahi hai jo hamaray nazdeek hai. Waise bhi fankar ka husn us mein nahi us ke fan mein hota hai. Beharhaal Sandy riwayati Fransisi auraton ki tarah zan mureed khawand chahti hai.

Is liye us ne us ke intikhab ke liye muskurate rehne ki shart rakhi.

Aaj tak jitni bhi shaadiyan hui hain kisi na kisi shart par hui hain. Ek khatoon ne to apne aashiq ko kaha tha mein sirf is shart par shaadi karoon gi ke wada karo tum hamesha ghair shaadi shuda raho ge. Lekin Miss Sandy wali shart to qissay kahaniyon mein bhi kisi ne nahi rakhi, albat-ta shaadi ke baad ki baat aur hai. Miss Sandy ne shaadi ke liye muskurate rehne ki salahiyat laazmi qarar de di hai warna shaadi to woh kaam hai jis ke liye kisi salahiyat ki zaroorat nahi.

Ek wakeel se kisi ne poocha “Junoon” ki wajah se talaq ho sakti hai? To us ne kaha is ka to pakka pata nahi, albatta itna pata hai ke us ki wajah se shaadi ho sakti hai. Is se pehle saraam mard hi aurat ka intikhab karte magar ab auratein bhi is tarah khawand chunne lagi hain, lekin woh is par bhi khush nahi. Kisi ne ek khatoon se poocha ke aap ko kaisa khawand chahiye? To us ne naraz ho kar kaha akhir tum kyun chahtay ho mein kisi kunware ke bajaye kisi khawand se shaadi karoon.

Kehtay hain duniya mein sab se nalaik aur bewakoof shakhs sirf ek hota hai, hairat ki baat yeh hai ke woh duniya ki har biwi ke paas hota hai. Beharhaal har khawand mein ek khoobi aisi hoti hai jo duniya ke kisi aur mard mein nahi hoti. Ek Afriqi larki ne akhbar ko isi khoobi ka bataate huway kaha “Mere mangaitar mein woh khoobi hai jo duniya ke kisi aur mard mein nahi,” poocha woh kya khoobi hai? Boli “Woh yeh hai ke woh mujh se shaadi karna chahta hai.”

Gulukarah hone ke naatay Miss Sandy ko muskurahaton ka muqabla karanay ke bajaye gulukari ka muqabla karana chahiye tha, lekin yeh shayad is liye nahi karaya gaya ke is muqablay mein sirf ek zaban ke log aate. Woh na a sakte jin ki zaban Sandy nahi janti. So us ne muskurahat ko chuna, kyunke yeh woh zaban hai jo har mulk mein boli aur samjhi jati hai. Hamari khwahish hai ke wahan Pakistan ki numaindagi ke liye film

star Rangeela ko bheja jaye, jo yaqeenan yeh muqabla jeet lain ge, kyunke un se taweel muskurahat kis ki ho sakti hai? Woh to muskura rahe hon to lagta hai poora mohalla muskura raha hai.

Itni wasi-o hirs muskurahat aur kahan mile gi lekin Rangeela sahab shadiyon ke mamlay mein Muhammad Shah Rangeela hain. So yeh dar hai ke woh muskaranay ke bajaye Miss Sandy ko dekh kar sanjeeda na ho jayen.

Author: Dr. Mohammad Younis Butt

Related Content

Leave a Comment