Aflatoon Ke Aqval/Aflatoon Quotes In Urdu
- Woh shakhs aqalmand nahi hai jo duniyawi lutfon se khush aur musibaton se muztarib hai.
- Talib ilm mein sharm behtar nahi – kyunke jahalat sharm se bad-tar hai.
- Ilm se mohabbat karna danish se mohabbat karna hai.
- Duniya aqil ki maut par aur jahil ki zindagi par hamesha ansoo bahati hai.
- Baat ko pehle deer tak socho, phir munh se nikalo aur phir us par amal karo.
- Khamoshi insaan ki salamti hai.
- Allah tallah se aisi cheezein mat chaho – jin ka nafa derpa na ho balkay baqiyat al-salihat ke khwahish mein raho.
- Atibba ki sab se badi chook yeh hai ke woh zehan ki taraf tawajjo diye baghair ilaj karne lag jate hain.
- Burayi ko bhalaai ka zariya na banao.
- Badtameezi woh jo logon ki buraiyan to zahir kare magar nekiyan chhupaye.
- Ghusa ki miqdar baat chit mein itni honi chahiye – jaise khanay mein namak ka jab tak andaz par rehta hai to hazim warna fasid.
- Jis shakhs mein ghaur o fikr ki adat hai – woh apni rooh se dobadob kalam karta hai.
- Sab se badi fatah apne aap ko fatah karna hai.
- Woh cheez jo haasil nahin hosakti, us ki khwahish fazool hai.
- Allah tallah ke tamam atiyon mein se hikmat sab se barh kar hai aur hakeem woh shakhs hai jis ke qaul o amal yaksaan hai.
- Aqal jis jagah kamal hogi, hirs o shar naqis hogi.
Leave a Comment
You must be logged in to post a comment.